Video 5 / 7 · 2:53 minute · Video Hindi mein hai.
Naya bill, print aur WhatsApp
Naya bill banana, mila paisa aur baki dekhna seekhein. Sahi grahak aur samaan chunein, phir save hue bill ko print ya WhatsApp par bhejein.
Video Hindi mein hai. Nahi chal raha? YouTube par dekhein ↗
Aise karein, ek-ek kadam
Grahak aur samaan chunein
Purana grahak naam se khojein. Naya ho to ek baar jodein. Samaan, unit, matra aur bikri rate jaanchein.
Mila paisa aur baki jaanchein
Aaj jitna paisa sach mein mila, wahi bharein. Naye bill ka baki aur grahak ka pehle ka baki alag pehchanein.
Bill save karke kholein
Bill banayein aur naam, samaan aur rakam milayein. Phir print/PDF ya WhatsApp ka option istemaal karein.
Yeh video ki chhoti likhit guide hai. Screen ke buttons samay ke saath badal sakte hain; save se pehle jaankari aur rakam jaanchein.
Yeh tareeka kisi ko samjhana hai?
Is video ka YouTube link ↗Example ke saath padhkar samjhein
Ab ek kaam khud karke dekhein
Alag tab mein sample dukaan par practice karein. Taiyar hon to apni dukaan jodein. Beta abhi muft hai; hamesha muft seva ka wada nahi hai.
Videos aur dukaan ka app filhal Hindi mein hain.
